اردو हिंदी
Main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya | Shaahi Shayari
main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya

Ghazal

Main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya

Zeb Ghauri

;

main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya
thake badan ko mere pattharon mein dab diya

jo dastaras mein na tha meri wo mila mujh ko
bisat-e-KHak se bahar jahan-e-KHwab diya

ajab karishma dikhaya ba-yak qalam us ne
hawa chillai samundar ko naqsh-e-ab diya

mein rakh ho gaya diwar-e-sang takte hue
suna sawal na us ne koi jawab diya

tahi-KHazana nafas tha bacha ke kya rakhta
na us ne puchha na main ne kabhi hisab diya

phir ek naqsh ka nairang 'zeb' bikhrega
mere ghubar ko phir us ne pech-o-tab diya