main teri dastaras se bahut dur tha
phir bhi nazdik aane pe majbur tha
aaj main hi saza-war-e-jaur-o-sitam
kal teri mang ka main hi sindur tha
kaun aata hai yun zer-e-dam in dinon
raat tarik thi aashiyan dur tha
kuchh KHulus-e-wafa par bhi nadim tha main
aur kuchh dil ke zaKHmon se bhi chur tha
aaina dekh kar yun nadamat hui
main ki 'rahat' hun ab pahle mansur tha
Ghazal
Main teri dastaras se bahut dur tha
Ameen Rahat Chugtai