main tere shahr mein phirti rahi mari mari
kabhi gulshan kabhi sahra kabhi wadi wadi
rah pur-pench thi tanhai thi andhiyara tha
bebasi kahti rahi dasht mein hadi hadi
uljhanen aur kasak ho gai taqdir meri
KHanqahon mein bhi jhank aae hain jali jali
chhiD gaya phir dil-e-betab par ek saz naya
ruKH-e-hasti pe chhalakne lagi lali lali
jaane kaisi ye taDap hai nahin rukne deti
jo thake mere qadam aah main haari haari
ratjagon ka bhi asar hone laga hai kuchh kuchh
surKH rahne lagi aankhen meri kali kali
husn hi husn tha aur jalwe hi jalwe har-su
kanpte honTon se kahti rahi wari wari
muntazir jis ki rahi us ne to dekha bhi nahin
baqi sab aa ke mile bazm mein bari bari
us ke jaane ke tasawwur se bhar aain aankhen
dil mera lagne laga KHud mujhe KHali KHali
Ghazal
Main tere shahr mein phirti rahi mari mari
Asra Rizvi