اردو हिंदी
Main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa | Shaahi Shayari
main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

Ghazal

Main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

Farhan Salim

;

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar
tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa

gah shorida-sar gah KHamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar
tere lal-o-gohar aur main KHak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main KHizan ki sada main ghubar-e-safar
tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa

wusat-e-be-karan maKHzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar
tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa