main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun
bura samajh le magar dusron se achchha hun
main apne aap ko jachta hun be-hisab magar
na jaane teri nigahon main kaisa lagta hon
bichha raha hun kai jal ird-gard tere
tujhe jakaDne ki KHwahish mein kab se baiTha hon
tu barf hai to pighal jaega tamazat se
tu aag hai to main jhonka tujhe hawa ka hun
bikhar bhi jae to mujh se na bach sakega kabhi
tujhe sameT ke lafzon mein bandh sakta hon
main yun bhi hun mujhe malum hi na tha 'nashtar'
samajh raha tha bahut nek hun farishta hun
Ghazal
Main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun
Abdur Rahim Nashtar