main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye
meri aankhon mein aansu aae teri aankhen nam karne ke liye
miTTi se hua mansub magar aatiash-KHana sa jalta hun
kai suraj mujh mein Dub gae mera saya kam karne ke liye
wo yaad ke sahil par sare moti bikhrae baiThi thi
ek lahar lahu mein uTThi thi mujhe taza-dam karne ke liye
aaj apne zahr se kaT diya sab zang purane lafzon ka
aainda ke andeshon ki tariKH raqam karne ke liye
mumkin hai ki ab bhi honTon par koi bhula bisra shola ho
main jalte jalte rakh hua lahja maddham karne ke liye
Ghazal
Main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye
Saqi Faruqi