main tang-dasti-e-mohlat se itna chahta hun
KHud apne aap se ek bar milna chahta hun
siwa bharam kahin kuchh bhi nahin hai to phir bhi
main thoDi dur tere sath chalna chahta hun
main KHud pe qahr bhi Dhaun hifazaten bhi karun
main is KHudai sifat ko baratna chahta hun
main chahta hun sahaaron ke sath sath rahun
main laDkhaDae bina hi sambhalna chahta hun
sawal phir se hai kirdar ko badalne ka
main ab ki bar bhi kapDe badalna chahta hun
har ek show se mohabbat hai is liye mujh ko
main nafraton ke tasawwur se bachna chahta hun
Ghazal
Main tang-dasti-e-mohlat se itna chahta hun
Nazim Naqvi