اردو हिंदी
Main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de | Shaahi Shayari
main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de

Ghazal

Main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de

Farhat Ehsas

;

main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de
meri KHak hai ki uDi hui ise jism ke KHad-o-KHal de

ki na jaane kaun mere wajud pe panw rakh ke chala gaya
koi naqsh-e-pa hun ruka hua ise raste se nikal de

main karun to kya ki jame rahen mere panw meri zamin par
mere ghar mein mujh ko sambhaal ya mujhe mere ghar se nikal de

ye falak-shigaf imaraten mere aab o gil se bichhaD gain
mere aab o gil pe karam na kar tu imaraton ko zawal de

wo mila ki jaise bichhaD gaya koi saneha bhi nahin hua
mera ishq bhi koi ishq hai ki na KHush kare na malal de

mere honTh jaane kahan gae ki tere hi nam na le sake
mujhe harf o saut ke mawara koi aur KHwab-o-KHayal de

koi barf si hai jami hui meri choTiyan hain Dhaki hui
mera kohsar tulua ho mere paniyon ko ubaal de