اردو हिंदी
Main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai | Shaahi Shayari
main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

Ghazal

Main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

Hasan Abbas Raza

;

main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai
main sawal hun kisi aur ka mera masala koi aur hai

kabhi chand-chehron ki bhiD se jo nikal ke aaya to ye khula
wo jo asl tha use kho diya jise pa liya koi aur hai

kaTi umr ek usi chah mein use dekhte kisi rah mein
magar ek zamane ke baad jo hua aashna koi aur hai

faqat ek pal ke firaq mein kai KHwab kirchiyan ho gae
jo palaT ke aae to yun laga yahan silsila koi aur hai

wahi log hain wahi nam hain wahi ghar wahi dar-o-baam hain
magar ab darichon ki oT se hamein jhankta koi aur hai

kisi aane wale safar ki jab karo ibtida to ye sochna
main akela is mein sharik hun ki mere siwa koi aur hai

use mil ke aae to sham ko mujhe aaine ne kaha suno
wo jo subh-dam tha hasan-'raza' wo tumhi ho ya koi aur hai