اردو हिंदी
Main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe | Shaahi Shayari
main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe

Ghazal

Main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe

Afzal Gauhar Rao

;

main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe
hansi to apni KHamoshi pe aa rahi hai mujhe

mere wajud ki miTTi mein zar nahin koi
ye ek charagh ki lau jagmaga rahi hai mujhe

ye kaise KHwab ki KHwahish mein ghar se nikla hun
ki din mein chalte hue nind aa rahi hai mujhe

koi sahaara mujhe kab sambhaal sakta hai
meri zamin agar Dagmaga rahi hai mujhe

main is jahan mein KHush hun magar koi aawaz
nae jahan ki jaanib bula rahi hai mujhe