main sochta hun sabaq main ne wo paDha hi nahin
mere junun ki hikayat mein jo likha hi nahin
main sochta hun zuleKHa ki kuchh KHabar aae
mere siwa kahin yusuf ka kuchh pata hi nahin
main sochta hu ki apne KHuda se kah Dalun
wo sab jo main ne kabhi aaj tak kaha hi nahin
main sochta hun ki sab to the gosh-bar-awaz
wahi tha ek ki jis ne kaha suna hi nahin
main sochta hun kabhi raat ke andheron mein
charagh wo bhi jale jo kabhi jala hi nahin
main sochta hun jo KHamoshiyon ke sahra mein
sada ki dhund mein saat ka kuchh pata hi nahin
main sochta hun ki dana hi aisa kahte hain
ye sar to ghair ke aage kabhi jhuka hi nahin
Ghazal
Main sochta hun sabaq maine wo paDha hi nahin
Azeez Prihar