main siyah-ru apne KHaliq se jo neamat mangta
apna munh dhone ko pahle aab-e-KHajlat mangta
mere rukhe-sukhe TukDe mujh ko kar dete hain ser
KHak bhar deta falak munh mein jo neamat mangta
KHalq par hoti jo aadab-e-shahadat aashkar
murgh-e-bismil bhi taDapne ki ijazat mangta
rahm ham-afat-rasidon par jo karta aasman
sans lene ki hujum-e-gham mein mohlat mangta
rolta moti jo karta kisht-kari KHair ki
hun barasta main agar baran-e-rahmat mangta
past-baKHti ne mujhe mahfuz rakkha shukr hai
TuT paDta aasman sar par jo rifat mangta
qadr mere gauhar-e-dil ki kuchh us but ne na ki
but-kada lilam hota main jo qimat mangta
ek bosa mangne par yar ka ruKH phir gaya
jaan main deta agar wo be-murawwat mangta
main agar aazadgi mein sarw ko karta murid
tera guldasta sa qad tuba se baiat mangta
dekh pata kushtagan-e-ishq ka rutba agar
pani pi pi kar KHizar jam-e-shahadat mangta
dil mein paDte zaKHm agar gulzar ki karta hawas
main lahu rota agar baran-e-rahmat mangta
kab raha simab jab simab chandi ho gaya
qalb mahiyyat meri hoti jo daulat mangta
kya KHabar thi subh ho jaegi tere nur se
sham se mera charagh-e-KHana ruKHsat mangta
aankh jhuk jati nazar aata agar tu KHwab mein
tere KHal-e-ruKH se yusuf dagh-e-hasrat mangta
khaiye kyunkar niwale motiyon ke ai hawas
tair-e-dil hans ki ai kash qismat mangta
josh-e-wahshat le chala itni na mohlat de mujhe
koh-o-sahra ke azizon se tu ruKHsat mangta
dushmani rakhta hai arbab-e-manash se aasman
hath malta umr-bhar dam-bhar jo rahat mangta
be diye mumkin nahin duniya mein ho ijra-e-kar
aamilon se ism-e-azam bhi hai dawat mangta
KHun-e-ashiq par kamar bandhe hue hain KHub-ru
tegh-e-misri halq par hoti jo sharbat mangta
kya KHabar thi aasiyon ki bhi dua maqbul hai
'bahr' duniya ke bakheDe se faraghat mangta
Ghazal
Main siyah-ru apne Khaaliq se jo neamat mangta
Imdad Ali Bahr