اردو हिंदी
Main sikhta raha ek umr haw-hu karna | Shaahi Shayari
main sikhta raha ek umr haw-hu karna

Ghazal

Main sikhta raha ek umr haw-hu karna

Ashfaq Nasir

;

main sikhta raha ek umr haw-hu karna
yunhi nahin mujhe aaya ye guftugu karna

abhi talab ne jhamelon mein Dal rakkha hai
abhi to sikhna hai teri aarzu karna

hamein charaghon se Dar kar ye raat bit gai
hamara zikr sar-e-sham ku-ba-ku karna

bhala ye kis ne kaha tha hayat-baKHsh hai ye ishq
kabhi mile to use mere ru-ba-ru karna

kise KHabar kise milta hai lams-e-fikr-e-rasa
KHayal-e-yar ke zimme hai justuju karna

mujhe bhi ranj hai murjha gae wo phul se log
bata raha hai mera zikr-e-rang-o-bu karna

sukut-e-shab ne sikhaya tha mujh ko aaKHir-e-shab
bala ka shor ho jab KHamushi rafu karna