اردو हिंदी
Main shajar hun aur ek patta hai tu | Shaahi Shayari
main shajar hun aur ek patta hai tu

Ghazal

Main shajar hun aur ek patta hai tu

Imran Husain Azad

;

main shajar hun aur ek patta hai tu
meri hi to shaKH se TuTa hai tu

shaeri mein rose tufan se laDa
kya samundar mein kabhi utra hai tu

subh tak sahmi rahin aankhen meri
KHwab kaisi rah se guzra hai tu

kya KHabar kab sath mera chhoD de
aankhon mein Thahra hua qatra hai tu

kuchh kami shayad teri miTTi mein hai
jab sameTa dil tujhe bikhra hai tu

waqt-e-ruKHsat tu bura mat kah ise
umr bhar is jism mein Thahra hai tu

buz-dili kewal mere andar hai kya
yun mujhe hairat se kyun takta hai tu

ye teri sazish hai ya phir ittifaq
main jahan Duba wahin ubhra hai tu

jo andhere mein kahin gum ho gaya
sochta hun kya wahi saya hai tu

kya KHabar muKHbir hawa ka ho wahi
ai diye jis ke liye jalta hai tu

zindagi ne phir tujhe uljha liya
main na kahta tha abhi bachcha hai tu