main shajar hun apne sae ka sila leta nahin
KHosha-chin ho ya musafir shukriya kahta nahin
sach hi kahte ho ki jitna wo hai main utna nahin
shayad achchha hai ki jaisa wo hai main waisa nahin
ek musafir ki tarah hun koi ghar mera nahin
dil mein kuchh aazar hain ya shahr hi achchha nahin
barish aai dhul gae aankhon ke viran taqche
sham thak kar so gai mah-e-tamam aaya nahin
tere harf-e-talKH se is dil mein jitne dagh hain
rokte har bar hain lekin raha jata nahin
rone wale raegan ki ret par mehnat na kar
narm rut ka phul hai dil aag mein khilta nahin
Ghazal
Main shajar hun apne sae ka sila leta nahin
Mubarak Haider