main shahri hun magar meri bayabani nahin jati
junun kuchh bhi pahan le us ki uryani nahin jati
nahin kuchh aur hoga wo mohabbat to nahin hogi
ki itni raushni itni ba-asani nahin jati
khule hain sare darwaze hamare qaid-KHane ke
ki darwaze talak zanjir-e-zindani nahin jati
buton ko dekhte hi huk si ek dil mein uThti hai
dil-e-momin se yaad-e-kufr-samani nahin jati
uTha lata hun main bazar se rose ek nai aafat
mere ghar se bala-e-saz-o-samani nahin jati
azal ka dagh-e-hijr itna hamare dil pe raushan hai
ki apni wasl ki arzi kahin mani nahin jati
main kab ka us ki hadd-e-did se bahar nikal aaya
magar us ki taraf se meri nigarani nahin jati
tamam aasab par tari hai nasri nazm duniya ki
magar 'ehsas'-sahab ki ghazal-KHwani nahin jati
Ghazal
Main shahri hun magar meri bayabani nahin jati
Farhat Ehsas