اردو हिंदी
Main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun | Shaahi Shayari
main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

Ghazal

Main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

;

main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun
ham-safiro is chaman mein murgh-e-bismillah hun

kis taraf jaun dikha do ya mohamad rah-e-haq
yan har ek gumrah kahta hai main KHizr-e-rah hun

ai masiha teri zulfon ki daraazi dekh kar
kahti hi umr-e-KHizar main gesu-e-kotah hun

aasman par bhi siyah-baKHti mein hai mera dimagh
KHal-e-ru-e-mehr hun dagh-e-jabin-e-mah hun

kah rahi hai aasman se yar ke ghar ki zamin
tur hun sahra-e-aiman hun tajalli-gah hun

baiThna kaisa idhar aaya udhar rahi hua
din jo hun to muKHtasar hun shab jo hun kotah hun

allah allah kya hai in ke panw ki Thokar ka lutf
hai har ek but ki tamanna kash sang-e-rah hun

roz-e-mahshar se 'wazir' afzun hai is kafir ka tul
ab bhi kahti hai shab-e-furqat bahut kotah hun