اردو हिंदी
Main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair | Shaahi Shayari
main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair

Ghazal

Main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair

Saleem Ahmed

;

main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair
ki tere shahr mein rahta hun aur ghar ke baghair

mujhe wo shiddat-e-ehsas de ki dekh sukun
tujhe qarib se aur minnat-e-nazar ke baghair

ye shahr zehn se KHali numu se aari hai
balaen phirti hain yan dast o pa o sar ke baghair

nikal gae hain jo baadal barasne wale the
ye shahr aab ko tarsega chashm-e-tar ke baghair

koi nahin jo pata de dilon ki haalat ka
ki sare shahr ke aKHbar hain KHabar ke baghair

main panw toD ke baiTha raha kahin na gaya
'salim' manzilen tai ho gain safar ke baghair