اردو हिंदी
Main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun | Shaahi Shayari
main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

Ghazal

Main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

Raj Narayan Raaz

;

main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun
main git ban ke chaTanon ke bich gunja hun

tulu-e-subh ka manzar ajib hai kitna
mera KHayal hai main pahli bar jaga hun

mera wajud ghanimat hai sochiye to sahi
main KHushk Dal ka patta hara hara sa hun

baja ki roz andhera mujhe nigalta hai
main roz ek naya KHurshid ban ke uThta hun

kisi ne baat hi samjhi na haal hi puchha
ajib karb ke aalam mein ghar se nikla hun

main jaanta hun ki hai irtiqa ki kya surat
main aah ban ke uTha abr ban ke barsa hun

ajib baat hai har samt raste hain rawan
ajib baat hai main ghar ki rah bhula hun

mujhe talash karenge nai ruton mein log
main gahri dhund mein lipTa hua jazira hun

is ek sawal ne rakkha hai muddaton hairan
main kis ka rup hun main 'raaz' kis ki chhaya hun