main sahra tha jazira ho gaya hun 
samundar dekh tera ho gaya hun 
ba-juz ek nam kahta hun na sunta 
main aisa gunga bahra ho gaya hun 
teri aankhon ne dhoya hai mujhe yun 
main bilkul saf-suthra ho gaya hun 
tu suraj hai main aaine ka TukDa 
kiran chhu kar sunahra ho gaya hun 
mujhe raushan kiye hai aks tera 
main tera shoKH chehra ho gaya hun 
baDi lazzat hai teri qurbaton mein 
tar-o-taza sawera ho gaya hun
        Ghazal
Main sahra tha jazira ho gaya hun
Anees Ansari

