main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki
sameTe leti hai ranginiyan zamane ki
jo zabt-e-shauq ne bandha tilisam-e-KHuddari
shikayat aap ki ruThi hui ada ne ki
kuchh aur jurat-e-dast-e-hawas baDhati hai
wo barhami jo ho tamhid muskurane ki
kuchh aisa rang meri zindagi ne pakDa tha
ki ibtida hi se tarkib thi fasane ki
jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir
ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki
hawaen tund hain aur kis qadar hain tund 'jamil'
ajab nahin ki badal jae rut zamane ki
Ghazal
Main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki
Jameel Mazhari