main sach to kah dun par us ko kahin bura na lage
mere KHayal ki yarab use hawa na lage
ajib tarz se ab ke nibhaya ulfat ko
wafa jo ki hai to is tarah ki wafa na lage
darun-e-zat basa hai jahan yaadon ka
wo dur rah ke bhi mujh ko kabhi juda na lage
kabhi to kahta tha har lamha tere sath hun main
ab aise bachhDa ke us ka kahin pata na lage
tabib tum ko bhulane ka kar raha hai ilaj
maraz hua hai purana koi dawa na lage
tumhaare waste jab jab baDhaya dast-e-talab
ajib baat hai is dam dua dua na lage
uThe nazar se na us ki fusun-e-parda-e-husn
KHata bhi tujh se agar ho use KHata na lage
ye tera tarz-e-bayan mashriqon sa hai 'asra'
wo din na aae ke tujh ko KHuda KHuda na lage
Ghazal
Main sach to kah dun par usko kahin bura na lage
Asra Rizvi