اردو हिंदी
Main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha | Shaahi Shayari
main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha

Ghazal

Main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha

Imran Husain Azad

;

main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha
anjam kah raha hai KHata mein laga raha

sare purane zaKHm nae zaKHm ne bhare
bekar itne din main dawa mein laga raha

aisa nahin ki chand na utra ho baam par
main hi tamam raat haya mein laga raha

ai aql aur hoga koi us ki shakl ka
dil kaise man le wo jafa mein laga raha

ghar kar liya udas fazaon ne dil mein main
bahar ki KHush-gawar faza mein laga raha

kya hai ye zindagi wo bataega kis tarah
jo shaKHs sari umr qaza mein laga raha

suraj to ja ke chain se bistar pe so gaya
shab bhar magar charagh hawa mein laga raha

mujh se namaz-e-ishq mukammal nahin hui
kis munh se main kahun ki KHuda mein laga raha

bahra na mujh ko kar de ye KHamoshiyon ka shor
kewal isi liye main sada mein laga raha

kyun mere haq mein faisla utra nahin kabhi
main bhi to us ke sath dua mein laga raha

wo chahta hai kya ye mujhe thi KHabar magar
mein us ke sath sath dua mein laga raha