main roz-e-hijr ko barbaad karta rahta hun
shab-e-visal hi ko yaad karta rahta hun
meri ye ungliyan key-pad par thirakti hain
KHayal ke parind aazad karta rahta hun
main apne chahne walon se kya kahun ki unhen
na chahte hue nashad karta rahta hun
faqat duaen meri dastaras mein hain so main
faqat duaon ki imdad karta rahta hun
aur is tarah se meri shab guzar bhi jati hai
sahar ko sham se irshad karta rahta hun
Ghazal
Main roz-e-hijr ko barbaad karta rahta hun
Tarkash Pradeep