main ret ka mahal hun mere pasban daraKHt
sine pe rok lete hain sab aandhiyan daraKHt
dekhe gae the jis ke tale do jawan badan
logon ne TukDe TukDe kiya wo jawan daraKHt
DhunDenge ab parind kahan sham ko panah
jangal ki aag kha gai sab Daliyan daraKHt
phaldar tha to ganw use pujta raha
sukha to qatl ho gaya wo be-zaban daraKHt
suraj tha dukh ka sar pe ki thin gham ki barishen
dasht-e-safar mein mere bane saeban daraKHt
kaisi hawa chali hai ki phir chiKH chiKH kar
sab ko suna gae hain meri dastan daraKHt
sau bar mere jism ko chhu kar gai bahaar
phir bhi hun 'ashk' sukha hua nim-jaan daraKHt
Ghazal
Main ret ka mahal hun mere pasban daraKHt
Parveen Kumar Ashk