main rang-e-asman kar ke sunahri chhoD deta hun
watan ki KHak le kar ek muTThi chhoD deta hun
ye kya kam hai ki haqq-e-KHud-parasti chhoD deta hun
tumhaara nam aata hai to kursi chhoD deta hun
main roz-e-jashn ki tafsil likh kar rakh to leta hun
magar us jashn ki tariKH KHali chhoD deta hun
bahut mushkil hai mujh se mai-parasti kaise chuTegi
magar han aaj se firqa-parasti chhoD deta hun
KHud apne hath se rasm-e-widai kar to di par ab
koi baraat aati hai to basti chhoD deta hun
tumhaare wasl ka jis din koi imkan hota hai
main us din roza rakhta hun burai chhoD deta hun
hukumat mil gai to un ka kucha chhuT jaega
isi nuqte pe aa kar baadshahi chhoD deta hun
mubarak ho tujhe sad-afrin ai shan-e-mahrumi
tere pahlu mein aa ke ghar-grihasti chhoD deta hun
Ghazal
Main rang-e-asman kar ke sunahri chhoD deta hun
Ahmad Kamal Parwazi