main rakh hota gaya aur charagh jalta raha
charagh jalta raha aasman pighalta raha
main bund bund jala wasl ke kinare par
wo lahar lahar badan karwaTen badalta raha
lagi thi aag daraKHton ke par dariya mein
main dekhta raha aur aaftab Dhalta raha
bas ek sham sar-e-dasht-e-karbala utri
phir us ke baad gharon se alam nikalta raha
gulab bahta raha KHwahishon ke pani mein
hawaen chalti rahin aur diya machalta raha
ajab safar tha mere us ke darmiyan 'qaisar'
ghubar uDta raha aur sitara chalta raha
Ghazal
Main rakh hota gaya aur charagh jalta raha
Nazeer Qaisar