main pursish-e-gham-e-furqat ki dad deta hun
teri latif nadamat ki dad deta hun
malal-e-tark-e-marasim to kuchh nahin lekin
is ehtiyat-e-mohabbat ki dad deta hun
kahan bahisht kahan zindagi magar naseh
main tere husn-e-aqidat ki dad deta hun
tabahiyan bhi mohabbat ko ras aa na sakin
sitam-zarifi-e-fitrat ki dad deta hun
o muskura ke nigahon ko pherne wale
main tere azm-e-baghawat ki dad deta hun
mere KHulus ko lafzon se napne walo
tumhaare husn-e-basirat ki dad deta hun
kisi se sunta hun jab dushmani ka zikr 'arshad'
to doston ki inayat ki dad deta hun
Ghazal
Main pursish-e-gham-e-furqat ki dad deta hun
Arshad Siddiqui