اردو हिंदी
Main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu | Shaahi Shayari
main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu

Ghazal

Main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu

Lata Haya

;

main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu
teri nazar mein faqat aab hain mere aansu

tu aaftab hai mera main tujh se hun raushan
tere huzur to mahtab hain mere aansu

wo ghaaliban unhen hathon mein tham bhi leta
use KHabar na thi sailab hain mere aansu

KHayal rakhte hain tanhaiyon ka mahfil ka
ye kitne waqif-e-adab hain mere aansu

chhupa ke rakhti hun har gham ko lakh pardon mein
fasil-e-zabt se nayab hain mere aansu

sahifa jaan ke aankhon ko paDh raha hai koi
ye rasm-e-ijra ko betab hain mere aansu

main shaeri ke hun fann-e-aruz se waqif
zabar hain zer hain erab hain mere aansu

jise paDha nahin tum ne kabhi mohabbat se
kitab-e-zist ka wo bab hain mere aansu

'haya' ke raaz ko aankhon mein DhunDne walo
shanawaro suno girdab hain mere aansu