اردو हिंदी
Main pichhli raat kya jaane kahan tha | Shaahi Shayari
main pichhli raat kya jaane kahan tha

Ghazal

Main pichhli raat kya jaane kahan tha

Qaisar-ul-Jafri

;

main pichhli raat kya jaane kahan tha
duaon ka bhi lahja be-zaban tha

hawa gum-sum thi suna aashiyan tha
parinda raat bhar jaane kahan tha

hawaon mein uDa karte the hum bhi
hamare samne bhi aasman tha

meri taqdir thi aawaragardi
mera sara qabila be-makan tha

maze se so rahi thi sari basti
jahan main tha wahin shayad dhuan tha

main apni lash par aansu bahata
mujhe dukh tha magar itna kahan tha

safar kaTa hai kitni mushkilon se
wahan saya na tha pani jahan tha

kahan se aa gai ye KHud-numai
wahin phenk aao aaina jahan tha

main qatl-e-am ka shahid hun 'qaisar'
ki basti mein mera uncha makan tha