اردو हिंदी
Main pahron ghar mein paDa dil se baat karta hun | Shaahi Shayari
main pahron ghar mein paDa dil se baat karta hun

Ghazal

Main pahron ghar mein paDa dil se baat karta hun

Mushafi Ghulam Hamdani

;

main pahron ghar mein paDa dil se baat karta hun
jab us ke shakl-o-shamail se baat karta hun

ba-waqt-e-zabh bhi hilte rahen hain lab mere
zi-bas-ki KHanjar-e-qatil se baat karta hun

meri zaban ko mera ham-nawa hi samjhe hai
main nim zabh hun bismil se baat karta hun

na naqa aur na mahmil raha main saudai
hanuz naqa o mahmil se baat karta hun

hai in dinon meri aawaz mein yahan tak zoaf
ki apne sath bhi mushkil se baat karta hun

samajh na mauj mere munh mein hain hazaron zaban
main bahr hun lab-e-sahil se baat karta hun

maza mile hai mujhe us ki ham-kalami ka
main us ke dar ke jo sail se baat karta hun

ba-waqt-e-aina didan bulaun main to kahe
main apne aashiq-e-mail se baat karta hun

jo 'mushafi' ki sifarish karen to bole wo shoKH
main aise nang-e-qabail se baat karta hun