اردو हिंदी
Main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab | Shaahi Shayari
main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab

Ghazal

Main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab

Aziz Nabeel

;

main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab
ek KHwab meri aankh ka mehman tha kal shab

kis gham mein bikharte rahe aakash pe tare
kyun chand pareshan pareshan tha kal shab

har aan koi yaad chamakti rahe dil mein
har lamha koi shor tha, tufan tha kal shab

kya jaaniye kya us ki nadamat ka sabab tha
kya jaaniye kyun main bhi pasheman tha kal shab

Thahri hui lagti thi hawa aur har ek shai
jaise ki badan waqt ka be-jaan tha kal shab

ek nur sa phaila raha us samt se is samt
jugnu meri ummid ki pahchan tha kal shab

phir subh-e-munawwar ki bashaarat hui mujh ko
phir dur talak rasta aasan tha kal shab