main ne usi se hath milaya tha aur bas
wo shaKHs jo azal se paraya tha aur bas
lamba safar tha aabla-pai thi dhup thi
main tha tumhaari yaad ka saya tha aur bas
hadd-e-nigah chaar-su kirnon ka raqs tha
pahlu mein chand jhil ke aaya tha aur bas
ek bheDiya tha dosti ki khaal mein chhupa
is ne mere wajud ko khaya tha aur bas
phir yun hua hawaen thin raqsan tamam-raat
ek taqche mein dip jalaya tha aur bas
donon taraf ki ranjishen ashkon mein bah gain
ek shaKHs mere KHwab mein aaya tha aur bas
is karzar-e-zist mein hum ne tamam-umr
'arshad' kisi ka ishq kamaya tha aur bas
Ghazal
Maine usi se hath milaya tha aur bas
Arshad Mahmood Arshad