main ne un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin
hae kis naz se hans hans ke kaha kuchh bhi nahin
arz ki kuchh dil-e-ashiq ki KHabar hai to kaha
han nahin kuchh nahin bas kah to diya kuchh bhi nahin
tu na aaya shab-e-wada to gaya kya tera
mar miTe hum tere nazdik hua kuchh bhi nahin
kya hai anjam-e-mohabbat koi puchhe hum se
jite-ji KHak mein milne ke siwa kuchh bhi nahin
kis ki mehr aur wafa ab hai jafa se bhi gurez
kyun na jal kar kahen ulfat mein maza kuchh bhi nahin
aankhon hi aankhon mein dil le gaya sine se nikal
hath se hum ne diya us ne liya kuchh bhi nahin
mere allah ye patthar ki buton ka dil hai
rahm ruswai ka Dar KHauf-e-KHuda kuchh bhi nahin
kaun sa dard hai jis ka nahin duniya mein ilaj
lekin is dard-e-mohabbat ki dawa kuchh bhi nahin
dekha 'kaifi' ko to be-saKHta yun bol uThe
ab to bimar-e-mohabbat mein raha kuchh bhi nahin
Ghazal
Maine un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin
Dattatriya Kaifi

