main ne roka bahut par gae sab ke sab
jaane phir kya hua Dar gae sab ke sab
dost kya ab to dushman bhi mafqud hain
baat kya hai kahan mar gae sab ke sab
har-qadam par zamana muKHalif raha
kaam apna magar kar gae sab ke sab
din mein suraj ke the ham-safar din Dhale
le ke mayusiyan ghar gae sab ke sab
peD sukhe the qudrat bhi thi mehrban
aaj phal-phul se bhar gae sab ke sab
kya KHata thi kisi ne bataya nahin
mujh pe ilzam kyun dhar gae sab ke sab
aap tanha bache hain meri bazm mein
warna 'jawed'-aKHtar gae sab ke sab
Ghazal
Maine roka bahut par gae sab ke sab
Khawaja Javed Akhtar

