main ne puchha pahla patthar mujh par kaun uThaega
aai ek aawaz ki tu jis ka mohsin kahlaega
puchh sake to puchhe koi ruTh ke jaane walon se
raushniyon ko mere ghar ka rasta kaun bataega
Dali hai is KHush-fahmi ne aadat mujh ko sone ki
niklega jab suraj to KHud mujh ko aan jagaega
logo mere sath chalo tum jo kuchh hai wo aage hai
pichhe muD kar dekhne wala patthar ka ho jaega
din mein hans kar milne wale chehre saf batate hain
ek bhayanak sapna mujh ko sari raat Daraega
mere baad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jaega
sukh gai jab aankhon mein pyar ki nili jhil 'qatil'
tere dard ka zard samundar kahe shor machaega
Ghazal
Maine puchha pahla patthar mujh par kaun uThaega
Qateel Shifai