main ne mana kaam hai nala dil-e-nashad ka
hai taghaful shewa aaKHir kis sitam-ijad ka
hae wo dil jo hadaf tha nawak-e-bedad ka
dard sahta hai wahi ab ghaflat-e-sayyaad ka
nargis-e-mastana mein kaifiyat-e-jam-e-sharab
qamat-e-rana pe aalam misra-e-ustad ka
mana-e-fariyaad hai kuchh taba ki afsurdagi
kuchh sukut-amoz hai pas-e-adab sayyaad ka
is qadar dilkash raha tera agar andaz-e-jaur
zaKHm-e-dil munh chum lega KHanjar-e-bedad ka
majlis-e-matam bani aane se un ke bazm-e-aish
paD gaya phulon mein mere ghul mubarakbaad ka
tu na kar tark-e-sitam zalim sitam ho jaega
jaan se jaega KHugar lazzat-e-bedad ka
dard-e-nakaam-e-hujum-e-arzu ka hai maal
talKHi-e-hasrat natija shauq-e-ulfat-zad ka
hasrat-afza hai bahut mere dil-e-viran ka jal
kaun hai farman-rawa is mulk-e-ghair-abaad ka
lutf hi aata raha hai sai-e-baatil mein mujhe
hai yahan afsos kis ko mehnat-e-barbaad ka
khinch kar le chal mujhe shauq-e-asiri su-e-dam
kaam aisa kar ki jis se ji baDhe sayyaad ka
kis ko shikwa hijr ka aur kis ko hasrat wasl ki
lutf-parwarda hai mera dil kisi ki yaad ka
ye ada-e-dil-rubayana ye andaz-e-haya
kis tarah phir kaam karti hai nazar jallad ka
'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shiar
kaam KHamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka
Ghazal
Maine mana kaam hai nala dil-e-nashad ka
Wahshat Raza Ali Kalkatvi