اردو हिंदी
Maine kya kaam la-jawab kiya | Shaahi Shayari
maine kya kaam la-jawab kiya

Ghazal

Maine kya kaam la-jawab kiya

Ejaz Obaid

;

main ne kya kaam la-jawab kiya
us ko aalam mein intiKHab kiya

karam us ke sitam se baDh kar the
aaj jab baiTh kar hisab kiya

kaise moti chhupae aankhon mein
hae kis fan ka iktisab kiya

kaisi majburiyan nasib mein thin
zindagi ki ki ek azab kiya

sath jab gard-e-ku-e-yar rahi
har safar hum ne kaamyab kiya

kuchh hamare likhe gae qisse
bare kuchh daKHil nisab kiya

kya 'obaid' ab use main dun ilzam
apna KHana to KHud KHarab kiya