اردو हिंदी
Maine kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol | Shaahi Shayari
maine kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol

Ghazal

Maine kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol

Rasheed Qaisrani

;

main ne kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol
ji uThe lafz to main KHauf se mar jaunga

kaun KHushbu se hawaon ka badan chhinta hai
tu mere sath rahega main jidhar jaunga

reg-e-sahil se rahi apni shanasai to phir
ek din gahre samundar mein utar jaunga

chand-taron ki tarah main bhi hun gardish mein 'rashid'
han agar tu ne pukara to Thahar jaunga