اردو हिंदी
Maine jo ye kaha tumhein ulfat meri nahin | Shaahi Shayari
maine jo ye kaha tumhein ulfat meri nahin

Ghazal

Maine jo ye kaha tumhein ulfat meri nahin

Lala Madhav Ram Jauhar

;

main ne jo ye kaha tumhein ulfat meri nahin
gardan jhuka ke naz se bole ki ji nahin

jab tum juda hue to KHuda hum ko maut de
manzur is tarah ki hamein zindagi nahin

tu jis ko chahe KHak se masnad-nashin kare
hai be-hisab faiz tera kuchh kami nahin

naseh nasihaten ye kahan yaad rahti hain
hazrat abhi kisi se tabiat lagi nahin

'jauhar' KHuda hasinon se har ek ko bachae
un logon ko KHayal kisi ka kabhi nahin