اردو हिंदी
Maine jab likhna sikha tha | Shaahi Shayari
maine jab likhna sikha tha

Ghazal

Maine jab likhna sikha tha

Nasir Kazmi

;

main ne jab likhna sikha tha
pahle tera nam likha tha

main wo sabr-e-samim hun jis ne
bar-e-amanat sar pe liya tha

main wo ism-e-azim hun jis ko
jin o malak ne sajda kiya tha

tu ne kyun mera hath na pakDa
main jab raste se bhaTka tha

jo paya hai wo tera hai
jo khoya wo bhi tera tha

tujh bin sari umr guzari
log kahenge tu mera tha

pahli barish bhejne wale
main tere darshan ka pyasa tha