main ne jab KHwab nahin dekha tha
tujh ko betab nahin dekha tha
us ne simab kaha tha mujh ko
main ne simab nahin dekha tha
hijr ka bab hi kafi tha hamein
wasl ka bab nahin dekha tha
chand mein tu nazar aaya tha mujhe
main ne mahtab nahin dekha tha
wo jo nayab hua jata hai
us ko kamyab nahin dekha tha
ek machhli hi nazar aai mujhe
main ne talab nahin dekha tha
Ghazal
Maine jab KHwab nahin dekha tha
abdurrahman momin