main ne jab jab bhi tera nam likha kaghaz par
yun laga jaise koi phul khila kaghaz par
ek muddat se mulaqat ko bechain hai dil
bhej de likh ke mujhe apna pata kaghaz par
KHat tera jab bhi koi main ne purana khola
to ubhar aaya hasin naqsh tera kaghaz par
likhne baiTha hun tere nam koi KHat jab bhi
aankh se ashk gira sabt hua kaghaz par
chaara-gar aa ki siwa dard-e-jigar hota hai
bhej de likh ke mujhe warna dawa kaghaz par
tujh ko izhaar-e-mohabbat ki qasam itna bata
bewafa kyun kiya izhaar-e-wafa kaghaz par
kya hai taqdir mein allah KHabar rakhta hai
kaun paDhta hai muqaddar ka likha kaghaz par
dad-o-tahsin ki kanon mein sadaen gaunjin
jab bhi 'gauhar' ne koi sher kaha kaghaz par
Ghazal
Maine jab jab bhi tera nam likha kaghaz par
Tanweer Gauhar