main ne irada jab bhi kiya hai uDan ka
us ko KHayal aaya hai tir-o-kaman ka
aae KHayal apni zamin ka bhi kuchh unhen
rakhte hain dard dil mein jo sare jahan ka
phir shahr-e-dostan ki taraf gamzan hun main
go jaanta hun shahr mein KHatra hai jaan ka
hum ko zamin se KHub-tar aaya na kuchh nazar
chakkar laga ke dekh chuke aasman ka
az-KHud hi KHwahishen meri mahdud ho gain
aaya KHayal jab mujhe apne makan ka
Ghazal
Maine irada jab bhi kiya hai uDan ka
Habeeb Kaifi