اردو हिंदी
Maine har gam use awwal o aaKHir jaana | Shaahi Shayari
maine har gam use awwal o aaKHir jaana

Ghazal

Maine har gam use awwal o aaKHir jaana

Kausar Niyazi

;

main ne har gam use awwal o aaKHir jaana
lekin us ne mujhe lamhon ka musafir jaana

main to tha us ke chaman-zar-e-mohabbat ka asir
lekin us ne mujhe har shaKH ka tair jaana

us ne iKHlas ke mare hue diwane ko
ek aawara o badnam sa shaer jaana

dar-haqiqat yahi eazaz bahut hai 'kausar'
do ghaDi us ne hamein apna ba-zahir jaana