main ne dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai
KHun ho ke meri aankhon se ab chhuT baha hai
jis ko kisi aazar ne hai patthar se tarasha
ab shumi-e-taqdir se wo mera KHuda hai
us ke sitam-o-jaur ka ehsas kise ho
us shoKH ki surat hi baDi hosh-ruba hai
mujh bekas-o-awara ki phir aa gai shamat
sunta hun ki basti mein kahin qatl hua hai
tum un ko saza kyun nahin dete ki jinhon ne
mujrim ka zamir aur sukun luT liya hai
ab dawa-e-insaf ki auqat khulegi
KHud shaiKH mere shahr ka muKHtar bana hai
Ghazal
Maine dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai
Afzal Parvez