main ne biThla ke jo pas us ko khilaya biDa
qatl par mere raqibon ne uThaya biDa
mushtail ta-ba-falak aatish-e-pur-dud hui
mal ke jis waqt misi tum ne chabaya biDa
surKH-ru ho ke ye kis munh se tu ab bole hai
main ne kis roz tere hath se paya biDa
meri aur aap ki majlis mein bigaD jaegi
tum ne dene ko kisi ke jo banaya biDa
sabz-baKHti kahun kya apni ki wo jaan gaya
paDh ke afsun mein khilane ko jo laya biDa
lal kar dunga abhi bazm mein munh kitnon ke
hath se tu ne kisi ko jo khilaya biDa
ai 'nasir' us ke gale ka hun na main kyunkar haar
aaj gul-ru ne mujhe dekh chabaya biDa
Ghazal
Maine biThla ke jo pas usko khilaya biDa
Shah Naseer