main ne bhi sina hawa-dar bana rakkha hai
aankh ko rauzan-e-diwar bana rakkha hai
peD ne ruThe hue mausam-e-gul ke gham mein
shaKH ko dast-e-aza-dar bana rakkha hai
sang-e-KHwahish kabhi dariya ke hawale na kiye
phenkne ke liye kohsar bana rakkha hai
main ne kaghaz ki zirah jism pe pahni hui hai
aur qalam hath mein talwar bana rakkha hai
sans lena bhi mere waste na-jaez hai
KHud ko yun main ne gunahgar bana rakkha hai
wahi manzar jo idhar phaila nazar aaya tha
wahi ab jhil ne us par bana rakkha hai
Ghazal
Maine bhi sina hawa-dar bana rakkha hai
Qasim Yaqub