اردو हिंदी
Maine apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai | Shaahi Shayari
maine apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai

Ghazal

Maine apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai

Abdul Ahad Saaz

;

main ne apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai
yun nahin jaise jism ko pairahan se alag kar rakkha hai

mere lafzon se guzro mujh se dar-guzro ki main ne
fan ke pairae mein KHud ko fan se alag kar rakkha hai

fatiha paDh kar yahin subuk ho len ahbab chalo warna
main ne apni mayyat ko madfan se alag kar rakkha hai

ghar wale mujhe ghar par dekh ke KHush hain aur wo kya jaanen
main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai

is pe na jao kaise kiya hai main ne mujh ko KHud se alag
bas ye dekho kaise anokhe-pan se alag kar rakkha hai

umr ka rasta aur koi hai waqt ke manzar aur kahin
main ne bhi donon ko baham bachpan se alag kar rakkha hai

dard ki gutthi suljhane phir kyun aae ho KHirad walo?
baba! hum ne tum ko jis uljhan se alag kar rakkha hai