اردو हिंदी
Main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga | Shaahi Shayari
main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga

Ghazal

Main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga

Aleem Usmani

;

main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga
yani ki raaz-e-rang-e-hina chhoD jaunga

tu aane wale kal ke liye kyun hai fikrmand
tere liye main apni dua chhoD jaunga

tere KHilaf koi na khole kabhi zaban
teri nigah mein wo nasha chhoD jaunga

aa jaiyega shauq se be bechain jab ho dil
darwaza apne ghar ka khula chhoD jaunga

ruKHsar-o-lab ki teri na kam hongi raunaqen
main har ghazal mein zikr tera chhoD jaunga

aaine de sakenge na tujh ko kabhi fareb
teri jabin pe tera pata chhoD jaunga

ek KHas chiz chhoDunga sab ke liye 'alim'
pahle se kyun bataun ki kya chhoD jaunga